Home › Aditya Rikhari › Jaan-E-Jaan Lyrics
Jaan-E-Jaan lyrics cover LYRICS
SONG LYRICS
ReleasedOct 23, 2026
Play Now

Jaan-E-Jaan Lyrics

Kaisi ulfat hai jaana
Dil bhi lagana musibat hai jaana par
Tu badi dilkash hai jaana
Tu badi dilkash hai jaana

Le tere ishq mein
Dewaane ki ho gayi kya haalat hai jaana par
Tu badi dilkash hai jaana
Le haazir phir teri khidmat mein jaana
Na tu.. Haan tu..
Mere ishq ko aabaad kar
Yoon.. Kuch yoon..
Bhar baahon mein ke aazad kar

Tu rakhle saansein meri girwi magar
Ye karz de ke mujhse kabhi
Jaane ki na phir baat kar
Le jaane jaa tera hua
Jee chahe vaise kharch de
Kar de dawa har dard ki
Jee bhar ke phir se mujhe dard de

Kar zaalima ek aur daffa
Barbaad par is shart pe
Tere hijr-o-gham se na marein
Toh maar dena mujhe hass ke

Baithe baithe chokhatton pe teri
Meri jaana kitne hi din yoon hi katt gaye haye
Bhoori bhoori aankhein jisse dekho maar daale
Mujhe bhi dekho nazar bhar ke haye

Jaan ja rahi ho par tu saamne jo mere
Dil dekhe tujhe ruk ruk ke haye
Ye mehndi mere naam ki hatheliyon pe teri ho
Khudaya aisa kuch karde haye

Sab haar baitha teri chaand baaliyon ke sadqe
Teri misalein Nusrat ki qawwaaliyon mein darj hein
Main maamuli sa shair teri taareefein karun
Tu meri shaayari pe bajne waali taaliyon se badh ke

Mujhe zaroorat teri jaise raat ko subah ki
Jaise baat ko zubaana ki
Bande saaz ko khuda ki
Tu khwaab mera chaahun apne khwaab ko main paalun
Tu zaroorat meri jaise uthe haath ko dua ki

Mere sajdon mein shamil aur namaazon mein bhi
Mere gunaahon mein shamil tu meri sharaabon mein bhi
Aur jab sharaab ban ke utre mere jism mein tu
Har zarra zarra tera mera kuch bacha hi nahi

Le jaane jaa tera hua
Jee chahe vaise kharch de
Kar de dawa har dard ki
Jee bhar ke phir se mujhe dard de

Kar zaalima ek aur daffa
Barbaad par is shart pe
Tere hijr-o-gham se na marein
Toh maar dena mujhe hass ke

Jaan-E-Jaan Lyrics In Hindi

कैसी उल्फत है जाना
दिल भी लगाना मुसीबत है जाना पर
तू बड़ी दिलकश है जाना
तू बड़ी दिलकश है जाना

ले तेरे इश्क़ में
दीवाने की हो गई क्या हालत है जाना पर
तू बड़ी दिलकश है जाना
ले हाज़िर फिर तेरी ख़िदमत में जाना
ना तू.. हाँ तू..
मेरे इश्क़ को आबाद कर
यूँ.. कुछ यूँ..
भर बाहों में के आज़ाद कर

तू रखले साँसें मेरी गिरवी मगर
ये क़र्ज़ दे के मुझसे कभी
जाने की ना फिर बात कर
ले जाने जा तेरा हुआ
जी चाहे वैसे ख़र्च दे
कर दे दवा हर दर्द की
जी भर के फिर से मुझे दर्द दे

कर ज़ालिमा एक और दफ़ा
बर्बाद पर इस शर्त पे
तेरे हिज्र-ओ-ग़म से ना मरें
तो मार देना मुझे हँस के

बैठे बैठे चौखटों पे तेरी
मेरी जाना कितने ही दिन यूँ ही कट गए हाय
भूरी भूरी आँखें जिसे देखो मार डाले
मुझे भी देखो नज़र भर के हाय

जान जा रही हो पर तू सामने जो मेरे
दिल देखे तुझे रुक रुक के हाय
ये मेहंदी मेरे नाम की हथेलियों पे तेरी हो
ख़ुदाया ऐसा कुछ करदे हाय

सब हार बैठा तेरी चाँद बालियों के सदक़े
तेरी मिसालें नुसरत की क़व्वालियों में दर्ज हैं
मैं मामूली सा शायर तेरी तारीफ़ें करूँ
तू मेरी शायरी पे बजने वाली तालियों से बढ़ के

मुझे ज़रूरत तेरी जैसे रात को सुबह की
जैसे बात को ज़ुबान की
बंदे साज़ को ख़ुदा की
तू ख़्वाब मेरा चाहूँ अपने ख़्वाब को मैं पालूँ
तू ज़रूरत मेरी जैसे उठे हाथ को दुआ की

मेरे सज्दों में शामिल और नमाज़ों में भी
मेरे गुनाहों में शामिल तू मेरी शराबों में भी
और जब शराब बन के उतरे मेरे जिस्म में तू
हर ज़र्रा ज़र्रा तेरा मेरा कुछ बचा ही नहीं

ले जाने जा तेरा हुआ
जी चाहे वैसे ख़र्च दे
कर दे दवा हर दर्द की
जी भर के फिर से मुझे दर्द दे

कर ज़ालिमा एक और दफ़ा
बर्बाद पर इस शर्त पे
तेरे हिज्र-ओ-ग़म से ना मरें
तो मार देना मुझे हँस के

Song Details

♫
Song Jaan-E-Jaan
◈
Label T-Series
◷
Released on Oct 23, 2026
Explore Aditya Rikhari, Farhan Khan Songs
FAQ
Who is the Singer of Jaan-E-Jaan?
Who is the Lyricist of Jaan-E-Jaan?
Who is the Composer of Jaan-E-Jaan?

Comments